HINDI BLOG KNOWLEDGE

www.hindiblogknowledge.com Hindi blog knowledge, Technology, Tech, Whatsapp, Internet, and all information

Breaking

Tuesday, January 17, 2023

Aakhir Har Blogger Blogging Me Success Kyu Nahi Hota (Failed Blogger)

Aakhir Har Blogger Blogging Me Success Kyu Nahi Hota (Failed Blogger)

Hello bloggers, aaj mai aapko aysi jankari dene ja raha hu jiski aapko sabse jada jarurat padti hai. aakhir sabhi blogger success kyu nahi hote. unki fail hone ki wajah kya rahti. aaj hum is post me isi ke bare me sikhenge.

Mai manta hu ki hum paise ke liye mehanat karte hai. par iske liye hume apni soch badlni padti hai. kyuki agar humara pura dhyan paise kamane par hi rahega to hum blogging nahi kar payenge.


Aakhir Har Blogger Blogging Me Success Kyu Nahi Hota

Bahut se log shuru se hi galat hote hai. wo sirf paise kamane ke liye hi blog banate hai.

Sirf Money ke liye blogging shuru karna hi sabse badi asafalta ki wajah hai.

agar aap ek success blogger banna chahate hai to aapko apne andar se paise kamane ka lalach khatm karna hoga orn bussness ki taraha bina lalach ke blogging karni hogi. or agar aap ek success blogger ban jate hai. to paisa khud aapke piche bhagega. aap inte paise kama sakte hai ki aap soch bhi nahi sakte.

Agar aap ye sab paiso ke liye kar rahe hai to aap fail bhi ho sakte hai. mai aapko btana chahunga ki duniya ke 90% log isi wajah se blogging chod dete hai.

Paise Kamane Ke Chakkar Me Blogger Fail Kyu Hote Hai?

aap soch bhi rahe honge ki aakhir paise kamane ki soch rakhne se blogging fail kaise hoti hai. kyuki unka sara dhyan to paise kamane par laga rahta hai. wo har samaye paise kamane ke bare me hi sochte rahte hai. mai aapko yaha par iske kuch pahlu bta raha hu. unhe padh kar aap khud samajh jaoge.


Blogging Fail Hone Ki Wajah Kya Hai?

1. Paiso ka lalach

agar hum paise kamane ke lalach me blogging start karte hai to humara pura dhyan paise kamane par hi rahega. or hum apne blog me achi post nahi kar payenge. agar aapko ek success blogger banna hai to aapko apna pura dhyan is bat me lagana chahiye ki blog me aysa kya upload kiya jaye jise log jada pasand kare.

2. samay ki barbadi

aap ek post likhne me 2 ghante lagate ho or use promote karne me 4 ghante. agar aap yahi samay koi achi post likhne me lagao to aapka blog khud be khud promote ho jayega.

Kyuki aaj har kisi ko kuch naya chahiye hota hai. so kuch new karne ki soche. aap jo samay paise kamane ke chakkar me lagate ho wo apne blog ko behtar banane me lagaye.

3. Nirasha

agar aap ne paise kamane ke liye blogging shuru ki hai to aap thodi bahut post karne ke bad paise kamane ke chakar me pad jaoge. or humesha yahi sochte rahoge ki aakhir kis tarike se paise kamaye jaye. agar aysa hi chalta raha to ek din aap itne hatash ho jaoge ki blogging hi chod doge.

4. No Hard Work

bahut se log kya karte hai ki blogging shuru karte hi usme idhar udhar se copy ki huyi post dal dete hai. khud mehanat karte nahi hai. natizan unka blog google search engine block kar deta hai.

Aur aysa kon hai jo pahle se internet par mojud post ko fir se padna chahega. har koi new product ki talash karta hai.

to ab aap blogging fail honi ki wajah to jan hi gaye honge ki paise kamane ka lalach hi sabse badi asafalta ka karan hota hai.

Agar aap blog se paise kamana chahate ho to aap apna pura waqt apne blog ya site ko behatar banane me lagao. yani bina lalach ke blogging karo. kuch new karne ki koshish karo.

Fir dekhna paisa kaise aapke piche bhagta hai. paise kamane ka lalach nahi rahna hi paise kamane ka sabse bada tarika hai.

Jab aapke blog par achi or new jankari milegi to blog par jada visitors aana pasand karenge. or jitne jada visitors aayenge utni jada aapki income hogi.


To dosto agar aap chahate ho ki aap bhi top success bloggers me gine jao to aap mere btaye in tariko ko follow kar ke blogging kijiye. aapko saflta jarur milegi.

Sath hi humse jude rahne ke liye hume facebook, twitter, google+ social media par jarur follow kare. taki aapko humari new post ki jankari milti rahe.



No comments:

Post a Comment

close