HINDI BLOG KNOWLEDGE

www.hindiblogknowledge.com Hindi blog knowledge, Technology, Tech, Whatsapp, Internet, and all information

Breaking

Monday, January 16, 2023

Kamyab Banne Ka Sabse Aasan Tarika - Apni Life Kaise Banaye

Kamyab Banne Ka Sabse Aasan Tarika - Apni Life Kaise Banaye


Jindagi me kamyab hone ke liye hum kya kuch nahi karte hai. har wo tarika apnate hai jo log hume btata hai. but ye tarika life me kamyab hone ka nahi situation ke piche bhagna hai. actualy hum apne aapko pahchante nahi hai or dusro ke piche bhagte hai. so hum khud ko bhul kar dusro ko copy karne ki koshish na kare or apne aapko pahchane or apne thode se gyan ko or badhane ki koshish kare.

Agar aap jindagi me safal hona chahate ho to is post me btayi tips dhyan se pade or abhi se apni life badal ki soch le. i promise aapko ek din kamyabi jarur milegi. blogging karne walo ke liye ye jankari bahut kam ki hai. ek success blogger banne ke liye is ek tips ko follow karna bahut hai.

Apni Life Kaise Banaye



Humari Manzil humare aasapas ho hoti hai. bas humme power honi chahiye usse pahchanne ki. so life me kamyab hona hai to dusro ke piche bhagne, dusro ki kamyabi se jalne, dusro ko nuksan pahuchane ka kam chod ke khud ki manzil ka rasta khojne me waqt lagaye.

Kamyab Hone Ka Aasan Tarika - Life Kaise Banaye

Kuch log khud ki manzil ke bajaye dusre logo ki kamyabi se jalte hai or unhe nuksan pahuchane ki koshish karte hai. or apna sara time dusro ke bare me sochne me west kar dete hai. aysa karne se wo khud ki manzil ko bhool jate hai.

Or apne aap ko koshne lagte hai ki mai kuch nahi kar sakta. mai iske-uske jaisa nahi ban sakta. actualy hum jab khud ko bhul jate hai to har kam me ati karne lag jate hai. natijan hume jo thoda bahut gyan hota hai wo bhi kam hota jata hai. or aakhir me hume fail hone ka samna karna padta hai.


Mai aapko yaha ek choti si story suna raha hu. shayad ise pad kar aap aasani se samajh jaoge ki jindagi me success hone ke liye kounsa tarika acha hai or kis raste par chalna chahiye.

Swami Vivekananda Thoughts Jo Aapki Life Bana de

Ek bar Swami Vivekananda ji ke pas ek boy aaya jiski umar lagbhag 24-25 sal thi. wo bahut dukhi lag raha tha. uske chehre par udasi chayi huyi thi or lag raha tha jaise ki use koi bahut badi bimari hai. wo Swami Vivekananda ji ke pas aa kar Swami ji ke pairo me gir pada or rone huye help ke liye gidgidane laga.


kutte ko ghumane isliye le gaye ki tumhe wo kam karke mujhse apne sawal ka jawab milega. or tumne iski wajah se apne sare dukh dard bhula kar ye kam kiya. or jab tum mere pas aaye to tumhare chehre par muskan thi. kyuki tumhe pura bharoshaa tha ki mai tumhare sawal ka jawab dunga. yani ki tumhe apne kam ka fal milne par pura wishwas tha.

Tum isliye nahi hare the ki tumhare dimag me raste ki mushkil nahi sirf tumari manzil (mujhse jawab pane) thi. so manzil pane ki khushi me tum raste ki sari mushkile bhul gaye ki tumne kitna rasta tay kiya, kitni mehanat ki or yaha tak ki tum raste par kahi ruke bhi nahi honge.

Iske wiprit mera kutta raste me yaha waha bhagta raha. dusre kutto ke pas jata or tumhare pas wapis aa jata. natijan wo aakhir me har gaya.

Bilkul wese hi aadmi ki life hoti hai. wo apni manzil ke sahi rastee ko chod kar dusro ke pas yaha waha bhagta rahta hai. jisse wo manzil tak pahuchne se pahle hi har jataa hai. kyuki yaha waha bhatkne me wo apni manzil ka sahi rasta hi bhool jata hai.

So agar aapko life me kamyab hona hai to apne aap par wishwas kar manzil ke sahi raste par chale. jisse aapki mehanat kharab na ho. or aap sahi raste par chaloge to yakinn aapko ek din saflta jarur milegi.

Post Summary

Maine is post me Swami Vivekananda ji ki kahani ko thoda change kar ke likha hai. jisse aapko ye bat aasani se samajh aa jaye. or aap ye jan sake ki aakhir mai aapko ye kahani suna kyu raha hu.

By the way agar aapne post ko dhyan se pada hoga to post padne ke bad aapko ye samajh aa gaya hoga ki kamyabi pane ke liye kya karnaa chahye. to aaj se hi is post me btayi jankari ko follow karna shuru kar de.


Agar aapko is article se achi jankari mili ho to ise apne dosto ke sath share karna na bhoole jisse unhe bhi iski jankari mil sake. or wo bhi sahi raste par chal kar kamyab ho sake. agar aap kisi ki help karoge to hi koi aapki help karega.


No comments:

Post a Comment

close